jurm Thahrā haal se aage kā naqsha dekhnā
tāzgī kī aas rakhnā aur sabza dekhnā
aarzū karnā chaman-zāroñ kī sabza-zār kī
aur tā-hadd-e-nazar sahrā hī sahrā dekhnā
azm ye rakhnā ki gahrā.ī kā siina chiir deñ
aur apne aap ko sāhil pe tanhā dekhnā
dhuup kī bārish meñ rahnā pyaas kī lahroñ ke saath
har sarāb-e-dasht ko tasvīr-e-dariyā dekhnā
dekhne vāloñ se koī harf-e-manzar kyā kahe
aañkh kī taqdīr meñ likhkhā hai kyā kyā dekhnā
ye alāmat kaun sī hai kis se pūchhūñ ai havā
pahlī rut meñ har shajar par zard pattā dekhnā
kaun batlā.egā 'ansar' aisī bātoñ kā javāz
chāñdnī meñ bādbāñ par aks-e-dariyā dekhnā