Mahtab Haider Naqvi

zindagi kya hai ba-juz wahm-o-guman mere liye

Mahtab Haider Naqvi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1955
zindagī kyā hai ba-juz vahm-o-gumāñ mere liye
ye zamīñ jab ho ga.ī be-āsmāñ mere liye
vo badan sahrā baḌhā detā hai pahle merī pyaas
aur ban jaatā hai phir āb-e-ravāñ mere liye
mausam-e-dil ne bikhere dil ke bāhar apne rañg
rañg-e-gul us ke liye rañg-e-ḳhizāñ mere liye
shahr meñ lagtī hai phir ik roz bujh jaatī hai aag
chhoḌ jaatī hai magar saarā dhuāñ mere liye
us se milne kā samāñ us se judā.ī kī ghaḌī
aur phir kuchh bhī nahīñ sūd-o-ziyāñ mere liye
āsmān-e-dil pe raushan lafz-o-ma.anī kī tarah
hai zamīn-e-sher kī ye kahkashāñ mere liye
Top Urdushayar.com