dekhā hai kahīñ rañg-e-sahar vaqt se pahle
shabnam na ugā dīda-e-tar vaqt se pahle
ai tā.er-e-shab rū-kash-e-gul-bāñg-e-sahar ho
ḳhushbū nahīñ detā gul-e-tar vaqt se pahle
vo husn-e-sarāpā abhī be-parda kahāñ hai
kyuuñ uTThe mohabbat kī nazar vaqt se pahle
maujoñ ke jhakole hoñ ki tūfāñ ke thapeḌe
qatra kahīñ bantā hai guhar vaqt se pahle
ai ḳhāna-bar-andāz-e-chaman thoḌā ta.ammul
miltī nahīñ shāḳh-e-gul-e-tar vaqt se pahle
takmīl-e-mohabbat ke liye chāhiye ik umr
hotā nahīñ maidān ye sar vaqt se pahle
bīnā.ī-e-nāqis kā karishma hai ye 'turfa'
aiboñ meñ nazar aayā hunar vaqt se pahle