Turfa Qureshi

nigahen nichi rakhte hain bulandi ke nishan wale

Turfa Qureshi

nigāheñ nīchī rakhte haiñ bulandī ke nishāñ vaale
uThā kar sar nahīñ chalte zamīñ par āsmāñ vaale
taqayyud habs kā āzādiyāñ dil kī nahīñ khotā
qafas ko bhī banā lete haiñ gulshan āshiyāñ vaale
nahīñ hai rahbarī-e-manzil-e-irfān-e-dil āsāñ
bhaTak jaate haiñ akasr rāste se kārvāñ vaale
zamīñ kī inkisārī bhī baḌā e.ajāz rakhtī hai
jabīñ-sā ho ga.e ḳhushkī pe bahr-e-be-karāñ vaale
kisī din garm bāzār-e-aqīdat ho to jaane do
lagā.eñge mire sajdoñ kī qīmat āsmāñ vaale
ajal kahte haiñ jis ko naam hai kamzor hī dil kā
use ḳhātir meñ kyuuñ laa.eñ hayāt-e-jāvidāñ vaale
hameñ 'turfa' kī lai se kyuuñ na ho irfān-e-dil hāsil
subuk naġhme sunāte hī nahīñ sāz-e-garāñ vaale
Top Urdushayar.com