Turfa Qureshi

main hath baDhaun kya daman-e-gulistan tak

Turfa Qureshi

maiñ haath baḌhā.ūñ kyā dāmān-e-gulistāñ tak
hai rañg-e-gul-e-lāla nairañg-e-bahārāñ tak
phūloñ se rahā ḳhālī dāmān-e-vafā apnā
kāñTe hī mile ham ko gulshan se bayābāñ tak
uThte haiñ bagūle to sahrā kī taraf jaa.eñ
dīvānoñ kī duniyā hai dāman se garebāñ tak
kaT jā.eñgī ik din sab ālām kī zanjīreñ
ye qaid-e-musalsal hai majbūrī-e-insāñ tak
be-soz koī naġhma maqbūl nahīñ hotā
mizrāb-e-ġham-e-dil ko le jaao rag-e-jāñ tak
kāshāne ġharīboñ ke sar apnā uThā.eñge
miTTī ke charāġhoñ kī lau jā.egī aivāñ tak
turfa koī kyā jaane ġham ahl-e-mohabbat kā
jaatī hai nazar kis kī zaḳhm-e-dil-e-insāñ tak
Top Urdushayar.com