ruuh ko aaj naaz hai apnā vaqār dekh kar
us ne chaḌhā.īñ tevriyāñ merā qarār dekh kar
qasd-e-gila na thā magar hashr meñ shauq-e-josh se
haath mirā na ruk sakā dāman-e-yār dekh kar
dekh ke ek baar unheñ dil se to haath dho chuke
dekhiye kyā guzartī hai dūsrī baar dekh kar
aate haiñ vo to pahle hī rañj se saaf ho rahūñ
aa ke kahīñ palaT na jaa.eñ dil meñ ġhubār dekh kar
vasl se guzre ai ḳhudā haañ ye shugūn chāhiye
sub.h ko ham uThā kareñ rū-e-nigār dekh kar
ka.aba ko jā na 'shauq' abhī niyyat-e-zindagī ba-ḳhair
ham bhī chaleñge tere saath ab kī bahār dekh kar