dil khoTā hai ham ko us se rāz-e-ishq na kahnā thā
ghar kā bhedī lanka Dhaa.e itnā samjhe rahnā thā
kyuuñ hañste ho maiñ jo barahna aaj junūñ ke hāthoñ huuñ
kuchh din guzre maiñ ne bhī bhī rañg libās ik pahnā thā
naza.a ke vaqt aa.e ho tum ab pūchh rahe ho kyā mujh se
hālat merī sab kah guzrī jo kuchh tum se kahnā thā
aa ke gayā vo royā kiin ye harj huā nazzāre meñ
āñkheñ kuchh nāsūr nahīñ thiiñ jin ko har dam bahnā thā
himmat haare jī de baiThe sab lazzat khoī ai 'shauq'
marne kī jaldī hī kyā thī ishq kā ġham kuchh sahnā thā