Mahtab Haider Naqvi

ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya

Mahtab Haider Naqvi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1955
ab rahe yā na rahe koī malāl-e-duniyā
khīñchtī hai mirā dil chashm-e-ġhazāl-e-duniyā
lo utartī hai badan se mire ḳhākī poshāk
lo huā jaatā huuñ maiñ sarf-e-kamāl-e-duniyā
miT rahe haiñ mire andar ke sabhī naqsh-o-nigār
ban rahe haiñ mire bāhar ḳhad-o-ḳhāl-e-duniyā
tere chehre kā fusūñ bhī nazar aa.e to kahīñ
koī ā.īnā dikhātā hai jamāl-e-duniyā
bas yahī naḳhl-e-havas hai jo rahegā sarsabz
tirā iqbāl sivā taaza nihāl-e-duniyā
maiñ bhī hairān mirā dil bhī pashīmān sā hai
jism ke haath huā jab se visāl-e-duniyā
Top Urdushayar.com