Shauq Qidvai

abru hai kaba aaj se ye nam rakh diya

Shauq Qidvai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1852-1925
abrū hai ka.aba aaj se ye naam rakh diyā
ham ne uThā ke taaq pe islām rakh diyā
nashshe meñ jā girā jo maiñ masjid meñ sar ke bal
zāhid ne mujh pe sajde kā ilzām rakh diyā
jhichkā vo ḳhauf khā ke to maiñ ne taḌap ke ḳhud
barchhī kī nok par dil-e-nākām rakh diyā
dilchasp naam sun ke lage māñgne hasīñ
kis ne zarā se ḳhuun kā dil naam rakh diyā
itnī to us ne kī mirī dil-soziyoñ kī qadr
turbat pe ik charāġh sar-e-shām rakh diyā
juuḌā jo bañdh gayā to na.e dil kahāñ phañseñ
tū ne idhar lapeT ke kyuuñ daam rakh diyā
aañkh is adā se us ne dikhā.ī ki maiñ ne 'shauq'
chupke se apnā mai kā bharā jaam rakh diyā
Top Urdushayar.com