Shauq Qidvai

teri si bhi aafat koi ai sozish-e-tab hai

Shauq Qidvai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1852-1925
terī sī bhī aafat koī ai sozish-e-tab hai
ik aag hai so itnī jalan aag meñ kab hai
maanā ki tum ummīd-e-vafā ke nahīñ qaa.il
phir kyā mire jiine kā koī aur sabab hai
ḳhush huuñ tire kiine se ki shirkat se huuñ mahfūz
jitnā tire dil meñ hai vo mere liye sab hai
hājat nahīñ kuchh aur pas-e-marg magar ek
ya.anī mujhe darkār tirī jumbish-e-lab hai
zinda rahūñ kyuuñ maiñ ki zabāñ un se ho gustāḳh
marne meñ ḳhamoshī hai ḳhamoshī meñ adab hai
ho hijr to phir gor meñ aur ghar meñ hai kyā farq
jo gor kī zulmat hai vahī hijr kī shab hai
iz.hār-e-vafā hai to kis ummīd pe ai 'shauq'
tū dād-talab us se ki bedād-talab hai
Top Urdushayar.com