vo le ke dil ko ye sochī kahīñ jigar bhī hai
nazar TaTol rahī hai ki kuchh idhar bhī hai
hañso na khol ke zulfeñ balā-nasīboñ par
balā-nasīb jahāñ meñ tumhārā sar bhī hai
vo bigḌe sun ke magar sun to lī hamārī aah
ye be-asar hī nahīñ balki bā-asar bhī hai
junūn ko vo banāvaT samajh rahā hai abhī
ye sun liyā hai kisī se ki mere ghar bhī hai
firāq meñ ye nayā tajraba huā mujh ko
ki ek raat zamāne meñ be-sahar bhī hai
ye kah ke hashr se bhāgā maiñ apnā jī le kar
ilāhī ḳhair yahāñ to vo fitna-gar bhī hai
mujhe to aap meñ is vaqt tum nahīñ milte
kahāñ ho 'shauq' kuchh apnī tumheñ ḳhabar bhī hai