bhāge achchhī shakloñ vaale ishq hai goyā kaam burā
apnī hālat kyā meñ batā.ūñ bad achchhā badnām burā
gesū-o-ruḳh ko jab se chāhā tab se merā rañg ye hai
shaam achchhā to sub.h burā aur sub.h achchhā to shaam burā
qadar ho kyā ḳhaak us ke ghar meñ āñdhī ke sī aam haiñ dil
āshiq TuuTe paḌte haiñ har roz kā izn-e-ām burā
bāñdh ke halqe ghereñge ab mere dil kī ḳhair nahīñ
ghūñghar vaale gesū us ke bāñdh rahe haiñ laam burā
sar pe amāma haath meñ sub.ha 'shauq' na jā but-ḳhāne ko
but haiñ baḌe kāfir rakh deñge sar ilzām burā