huī yā mujh se nafrat yā kuchh is meñ kibr-o-nāz aayā
kabhī vo muskurā detā thā ab is se bhī baaz aayā
nayā fitna jo niklā koī to ta.alīm dilvāne
zamāna le ke us ko pesh-e-chashm-e-fitna-sāz aayā
badaltī rahtī hai har dam mirī shakl is qadar ġham se
gayā jab maiñ to samjhā vo nayā ik ishq-bāz aayā
huī dil kī ḳhabar dil ko ki vo bad-zan huā varna
na Tapke ashk āñkhoñ se na muñh tak harf-e-rāz aayā
bachāyā dard se majbūr kar ke tark-e-ulfat par
vo aayā dil-shikan ban kar to goyā dil-navāz aayā
tire hāthoñ shikast-e-dil meñ lutf-e-dil-navāzī hai
ye kyā kam hai ki pahlū tak tirā dast-e-darāz aayā
magar taaza sitam ko vo mirī sehat kā ḳhvāhāñ hai
ki kal zaḳhmī kiyā aur aaj ban kar chārasāz aayā
ġhubār-e-rāh ne āñkheñ milāne diiñ na dil bhar ke
vo mere ghar jo aayā le ke chashm-e-nīm-bāz aayā
huā hai 'shauq' mai-ḳhāne meñ dāḳhil kis takalluf se
bichhāne ke liye masjid se le kar jā-namāz aayā