dil mirā TuuTā to us ko kuchh malāl aa hī gayā
apne bachpan ke khilaune kā ḳhayāl aa hī gayā
hashr meñ mazlūm sab chup rah ga.e muñh dekh kar
āḳhir is zālim ke kaam us kā jamāl aa hī gayā
hañs ke bolā jab phañsā bāloñ meñ ḳhūñ-ālūda dil
jaal phailāyā thā maiñ ne us meñ laal aa hī gayā
chhup ke gar māh-e-siyām aatā to mai kyuuñ chhūTtī
kyā karūñ maiñ sāmne mere hilāl aa hī gayā
dil thā us kā lekin ab ham mar ke deñge huur ko
vo pashemāñ hai ki vaqt-e-intiqāl aa hī gayā
kaañp uThe ġhusse se vo sun kar mirī fariyād ko
naġhma aisā thā ki āḳhir un ko haal aa hī gayā
merī nazroñ se koī ai 'shauq' sīkhe jazb-e-ishq
ban ke til āñkhoñ meñ us ke ruḳh kā ḳhaal aa hī gayā