Mubarak Haider

main shajar hun apne sae ka sila leta nahin

Mubarak Haider

maiñ shajar huuñ apne saa.e kā sila letā nahīñ
ḳhosha-chīñ ho yā musāfir shukriya kahtā nahīñ
sach hī kahte ho ki jitnā vo hai maiñ utnā nahīñ
shāyad achchhā hai ki jaisā vo hai maiñ vaisā nahīñ
ik musāfir kī tarah huuñ koī ghar merā nahīñ
dil meñ kuchh āzār haiñ yā shahr hī achchhā nahīñ
bārish aa.ī dhul ga.e āñkhoñ ke vīrāñ tāqche
shaam thak kar so ga.ī māh-e-tamām aayā nahīñ
tere harf-e-talḳh se is dil meñ jitne daaġh haiñ
rokte har baar haiñ lekin rahā jaatā nahīñ
rone vaale rā.egāñ kī ret par mehnat na kar
narm rut kā phuul hai dil aag meñ khiltā nahīñ
Top Urdushayar.com