Altaf Parwaz

inT diwar se jab koi khisak jati hai

Altaf Parwaz

iiñT dīvār se jab koī khisak jaatī hai
dhuup kuchh aur mere sar pe chamak jaatī hai
kitne darvāze mujhe band nazar aate haiñ
aañkh jab uTh ke sar-e-bām-e-falak jaatī hai
mujh se is baat pe nārāz haiñ arbāb-e-ḳhirad
baat aa.ī huī hoñToñ pe aTak jaatī hai
mutma.in ho ke kabhī saañs na leñ ahl-e-chaman
aag sīnoñ meñ havā pā ke bhaḌak jaatī hai
jaane kyā baat hai ab rāh-e-vafā meñ akasr
zindagī apne hī saa.e se ThiThuk jaatī hai
ik hamīñ ābla-pā.ī se gila-mand nahīñ
dosto gardish-e-hālāt bhī thak jaatī hai
ab añdherā kabhī raste meñ nahīñ aa.egā
ab nazar hadd-e-nazar se pare tak jaatī hai
mere hāthoñ meñ vo sāġhar hai chhalakne vaalā
tā-ba dīvār-e-haram jis kī khanak jaatī hai
aaj us paikar-e-rañgīñ se milā huuñ 'parvāz'
jis ke dāman se fazā saarī mahak jaatī hai
Top Urdushayar.com