sabā kī baat suneñ phuul se kalām kareñ
bahār aa.e to ham bhī junūñ meñ naam kareñ
na koī ret kā Tiila na sāya-dār daraḳht
rah-e-vafā meñ musāfir kahāñ qayām kareñ
qadam qadam pe mile bolte hue patthar
tumhī batāo ki ab kis se ham kalām kareñ
mahak uḌātī huī aa.ī hai nasīm-e-bahār
kaho ab ahl-e-chaman se ki fikr-e-dām kareñ
hamārī raah meñ dīvār ban ga.ī duniyā
tumhāre shahar meñ kis kis ko ham salām kareñ
vo jin ke dam se zamāne ke ḳhvāb rañgīñ haiñ
hamārī niiñd bhī aa kar kabhī harām kareñ
dhuāñ dhuāñ sī fazā shahr-e-dil kī hai 'parvāz'
na.e charāġh jalāne kā intizām kareñ