kal raat bahut zor thā sāhil kī havā meñ
kuchh aur ubhar aa.iiñ samundar se chaTāneñ
ik fasl ugī jūñhī zamīnoñ pe suroñ kī
tarkash se gire tiir fasīloñ se kamāneñ
mahsūs huā aise ki chup-chāp haiñ sab log
jab ġhaur kiyā ham ne to ḳhālī thiiñ niyāmeñ
tum habs ke mausam ko zarā aur baḌhā lo
be-samt na ho jaa.eñ parindoñ kī uḌāneñ
kyuuñ hoñT pe daryūza-gar-e-saut-o-sadā haiñ
jo āhaTeñ be-nām huiiñ dast-e-duā meñ