ajab kyā hai rahe us paar bahte jugnuoñ kī raushnī tahlīl kī zad meñ
havā-e-be-vatan rakh le tulū-e-mahr kā ik zā.icha zambīl kī zad meñ
ġham-e-be-chehragī kā aks thā jis ne vajūd-e-sañg ko mab.hūt kar Daalā
tarāshīñ silvaTeñ jūñhī ḳhad-o-ḳhāl-e-tahayyur aa ga.e tashkīl kī zad meñ
shab-e-va.ada fasīl-e-hijr se aage chamaktā hai tirā ism-e-sitāra-jū
ki jaise koī paivand-e-ridā-e-sub.h aa jaa.e kisī qindīl kī zad meñ
tamāshā.ī darīche meñ thiraktī surḳh ā.ankhoñ ke tilism-e-ḳhvāb meñ gum haiñ
magar sahmī huī kaTh-putliyoñ kī zindagī hai āḳhirī tamsīl kī zad meñ
mire naame tahī-mazmūn sahī phir bhī tirī lauh-e-muqaffal kī amānat haiñ
kabhī to aa.egī shakl-e-hurūf-e-nā-farastāda ḳhat-e-tāvīl kī zad meñ