na.e fitnoñ ke har jānib se itne sar nikal aa.e
zamīñ par jis tarah sabza namī pā kar nikal aa.e
bahut hoshiyār logo is na.ī tārīḳh ke hāthoñ
na jaane kab tumhārā ghar kisī kā ghar nikal aa.e
kahīñ ke phūl-patte haiñ kahīñ ke phal kahīñ ke haiñ
kuchh aise peḌ bhī bhārat kī dhartī par nikal aa.e
dar-e-taqdīs ko jab vā kiyā to qasr-e-hurmat se
batā.ūñ kyā tumheñ ki kitne saudāgar nikal aa.e
tumhārā aur tumhāre nazm kā us roz kyā hogā
kabhī sochā hai dīvāroñ meñ jis din dar nikal aa.e
'sa.ādat' aap is dīda-varoñ kī bhiiḌ meñ DhūñDheñ
bahut mumkin hai un meñ koī dīda-var nikal aa.e