dil meñ ho gar ḳhvāhish-e-tasvīr-e-ibrat dekhnā
ḳhush-nasībī bāñTne vāloñ kī qismat dekhnā
dostoñ aur dushmanoñ ke darmiyāñ rah kar to dekh
tujh ko aa jā.egā farq-e-nūr-o-zulmat dekhnā
kyā qayāmat se Dareñ ham log to vo haiñ jinheñ
paḌ rahā hai roz hī roz-e-qayāmat dekhnā
muflisī ke din haiñ aur barsāt kī aamad kā shor
mashġhalā sā ban gayā TuuTī huī chhat dekhnā
aise mauqoñ par jab aa.eñ zindagī meñ mushkileñ
jin kī jānib dekhnā ho bhuul kar mat dekhnā
ai 'sa.ādat' jo nasīhat karte ho auroñ ko tum
is nasīhat ko kabhī apnī bhī bābat dekhnā