duur tak parchhā.iyāñ sī haiñ rah-e-afkār par
reñgtī phirtī hai chup dil ke dar-o-dīvār par
tū ki hai baiThā ḳhas-e-auhām ke ambār par
is tarah mat hañs mire sho.ala-ba-kaf ash.ār par
ai nizām-e-vahshat-afzā tere sannāToñ kī ḳhair
ik kiran hañsne lagī hai raat kī talvār par
kirchaneñ dil kī ghanī palkoñ pe haiñ bikhrī huī
aa.ina TuuTā paḌā hai sāya-e-asrār par
sher kahne kī ġharaz se maiñ ne aksar rāt-bhar
phuul se ehsās ko rakkhā hai nok-e-ḳhār par
kyā yahī manzil thī dil kī kyā usī ke vāste
gāmzan barsoñ rahā ġham kī rah-e-dushvār par
ḳhuuñ kī bū aatī hai paiham sūrat-e-hālāt se
aañkh rotī hai lahū har surḳhi-e-aḳhbār par
kis himāqat ke evaz kis jurm kī pādāsh meñ
vaqt ne khīñchā hai mujh ko zindagī kī daar par
ek muddat se dil-o-jāñ ne lagā rakkhe haiñ kaan
an-sunī sargoshiyoñ kī ras-bharī jhankār par