Mahtab Haider Naqvi

kisi ke ghar na mah o sal ke mausam mein rahte hain

Mahtab Haider Naqvi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1955
kisī ke ghar na maah o saal ke mausam meñ rahte haiñ
ki ham hijr-o-visāl-e-yār ke aalam meñ rahte haiñ
vahī gul-gūñ qabā-e-yār hai nazzāra-e-hairat
usī nā-mehrbāñ ke gesu-e-pur-ḳham meñ rahte haiñ
vahī pyāsī zamīñ hai halqa-e-zanjīr kī sūrat
vahī ik āsmāñ jis ke tale shabnam meñ rahte haiñ
hameñ ye rañg-o-bū kī baat ab achchhī nahīñ lagtī
burā kyā hai jo ham apnī hī chashm-e-nam meñ rahte haiñ
guzar hī jā.egī umr-e-ravāñ āhista āhista
agarche ilm hai ham ik dam-e-be-dam meñ rahte haiñ
Top Urdushayar.com