Saadat Bandvi

ye mat bhula ki yahan jis qadar ujale hain

Saadat Bandvi

ye mat bhulā ki yahāñ jis qadar ujāle haiñ
ye aadmī ne añdheroñ se hī nikāle haiñ
na pūchh kyuuñ hai ye rañg-e-ġhazal meñ tabdīlī
ye dekh sīna-e-shā.ir meñ kitne chhāle haiñ
libās-e-sabr-o-tahammul jo ham haiñ pahne hue
ab is ke lagtā hai baḳhiye udhaḌne vaale haiñ
tavaqquāt vahī aaj bhī haiñ yāroñ se
ki ab bhī yaar sabhī āstīn vaale haiñ
ḳhamosh kāñpte mohre laraz rahā hai bisāt
na jaane kaun sī vo chaal chalne vaale haiñ
ye kyā sitam hai ki un ko bhī maiñ baḌā likkhūñ
jo log aaj baḌe kārobār vaale haiñ
ḳhudā kare ki 'sa.ādat' tumheñ sujhā.ī deñ
jo mere sheroñ meñ mafhūm ke ujāle haiñ
Top Urdushayar.com