tasavvur meñ ye kaun aayā zabāñ par kis kā naam aayā
nashāt-e-rūh kā har ik nafas le kar payām aayā
vafūr-e-be-ḳhudī meñ ek aisā bhī maqām aayā
na duniyā mere kaam aa.ī na maiñ duniyā ke kaam aayā
aqīdat se jabīñ jhuk jhuk ga.ī rāh-e-mohabbat meñ
jahāñ un kā ḳhayāl aayā jahāñ un kā maqām aayā
zamāne ko to duniyā-bhar kī ḳhushiyāñ baḳhsh diiñ tū ne
mire hisse meñ aayā bhī to soz-e-nā-tamām aayā
rahā kuchh hosh bhī baaqī to un ke husn-e-zebā kā
agar aayā to lab par be-ḳhudī meñ un kā naam aayā
ġham-e-daurāñ ġham-e-duniyā ġham-e-hastī ġhalat Thahre
jahāñ kī gardisheñ Thahrīñ jahāñ gardish meñ jaam aayā
nigāhoñ par jamāl-e-dost parda ban ke chhātā hai
sambhalnā dekhnā 'ārif' baḌā mushkil maqām aayā