isī sūrat se taskīn-e-dil-e-nāshād karte haiñ
abhī tak yaad aate ho abhī tak yaad karte haiñ
tabāhī par hamārī shikva-e-sayyād karte haiñ
chaman meñ haiñ kuchh aise bhī jo ham ko yaad karte haiñ
mohabbat naam hai us kā ta.alluq naam hai us kā
na ham āzād hote haiñ na vo āzād karte haiñ
vafā kā naam jab uTh jā.egā bedard duniyā se
vo ro.eñge bahut ham ko jo ab barbād karte haiñ
zamāne se nirālā hai karam sayyād-o-gulchīñ kā
jalā kar āshiyāñ kahte haiñ ab āzād karte haiñ
qafas hī ab nasheman hai qafas hī sahn-e-gulshan hai
asīroñ se kaho kyuuñ minnat-e-sayyād karte haiñ
samajh rakkhā hai bāzīcha unhoñ ne dil kī duniyā ko
kabhī ābād karte haiñ kabhī barbād karte haiñ
kabhī apnā samajh kar jin ko siine se lagāyā thā
ajab aalam hai 'ārif' vo hameñ barbād karte haiñ