bahr-e-hastī se bhī jī ghabrā gayā
be-kasī bas ab kinārā aa gayā
kam huā karte haiñ aise ḳhush-nasīb
tujh pe mar kar jin ko jiinā aa gayā
merā miT jaanā tamāshā thā koī
aap se ye kis tarah dekhā gayā
dukh bure dil kī kahānī kuchh na pūchh
phuul ke hañsne pe ronā aa gayā
sub.h karnā shām-e-ġham kā al-amāñ
sham.a ko dāñtoñ pasīna aa gayā
ḳhush raho tum chal basā bīmār-e-ġham
umr-bhar kī uljhaneñ suljhā gayā
rāh-e-ulfat meñ hai marnā zindagī
dard manzil tak mujhe pahuñchā gayā
mausam-e-gul bhī hai āñkhoñ meñ ḳhizāñ
dil hī kyā baiThā chaman murjhā gayā
vo hue kyā aañkh se 'ārif' nihāñ
saarī duniyā meñ añdherā chhā gayā