Mohammad Usmaan Arif

mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota

Mohammad Usmaan Arif

Bikaner, Rajasthan, India

1923
mujh par tirī nazroñ kā jo ehsāñ nahīñ hotā
hāthoñ se mire chaak garebāñ nahīñ hotā
ḳhālī kabhī kāñToñ se gulistāñ nahīñ hotā
kāñToñ se kabhī phuul pareshāñ nahīñ hotā
kuchh dard ho kuchh soz ho kuchh nuur ho dil meñ
bas ḳhaak kā putlā hī to insāñ nahīñ hotā
ai dost samajhtā huuñ tirī pursish-e-ġham ko
bātoñ se kabhī dard kā darmāñ nahīñ hotā
kyuuñ us ko mire chāk-e-garebāñ kī ḳhabar ho
gesū bhī kabhī jis kā pareshāñ nahīñ hotā
ai barq-e-jahāñ-soz tujhe ye bhī ḳhabar hai
āshiq kā nasheman kabhī vīrāñ nahīñ hotā
har phuul ko dekhūñ ye hai āvārā-nigāhī
har naqsh meñ to jalva-e-jānāñ nahīñ hotā
mamnūn-e-karam ek zamāna hai hameñ kyā
ham par to kabhī aap kā ehsāñ nahīñ hotā
khultā hai koī rāz-e-nihāñ dekh chaman meñ
ġhunchoñ kā yūñhī chaak garebāñ nahīñ hotā
phūloñ se bahal jā.ūñ vo dīvāna nahīñ huuñ
kāñToñ se ulajhne ko to dāmāñ nahīñ hotā
maujoñ ko banā letā huuñ maiñ apnā safīna
tūfāñ bhī mire sāmne tūfāñ nahīñ hotā
maiñ jin pe fidā huuñ vahī jalve haiñ nazar meñ
ā.īna tujhe dekh ke hairāñ nahīñ hotā
kis manzil-e-dushvār meñ huuñ ishq kī 'ārif'
un se bhī mire dard kā darmāñ nahīñ hotā
Top Urdushayar.com