Mohammad Usmaan Arif

hijr ki be-tabiyan thin hasraton ka josh tha

Mohammad Usmaan Arif

Bikaner, Rajasthan, India

1923
hijr kī be-tābiyāñ thiiñ hasratoñ kā josh thā
husn kā āġhosh phir bhī husn kā āġhosh thā
ham to jis mahfil meñ baiThe shaġhl-e-nāv-nosh thā
zindagī meñ maut bhī aa.egī kis ko hosh thā
zabt karte karte āḳhir phuuT niklī dil kī baat
hañs paḌā gulshan meñ jo bhī ġhuncha-e-ḳhāmosh thā
ehtirām-e-husn kahiye yā use rob-e-jamāl
un kā parde se nikalnā thā ki maiñ behosh thā
mujh se pūchho sarguzasht-e-mai-kada bāda-kasho
thā kabhī merā bhī aalam maiñ bhī bāda-nosh thā
laġhzisheñ merī musallam ibtidā-e-ishq meñ
aap ko bhī kuchh ḳhabar thī aap ko bhī hosh thā
ishq kā e.ajāz thā ye ishq kī tāsīr bhī
dil se jo naala nikaltā thā sukūn-e-gosh thā
koī kyā samjhā mirī dīvāngī ko kyā ḳhabar
aap kī nazroñ meñ thā itnā to mujh ko hosh thā
aaj tasbīh-o-musalllā le ke 'ārif' ban gayā
kal jo rūh-e-mai-kada thā rind-o-bāda-nosh thā
Top Urdushayar.com