Mohammad Usmaan Arif

husn-o-ulfat sath hain aaghaz se anjam tak

Mohammad Usmaan Arif

Bikaner, Rajasthan, India

1923
husn-o-ulfat saath haiñ āġhāz se anjām tak
merā afsāna sunā jā.egā tere naam tak
zindagī kī talḳhiyāñ haiñ gardish-e-ayyām tak
lāla-o-gul kā tabassum hai chaman meñ shaam tak
kyā ḳhabar parda-ba-parda kitne jalve haiñ nihāñ
chashm-e-zāhir-bīñ ne dekhā un ko husn-e-ām tak
jin ke paimāne bhare haiñ un pe kyā terā karam
lutf to saaqī hai jab bhar jaa.eñ ḳhālī jaam tak
jis ne jiine kā irāda kar liyā vo jī gayā
us se katrā kar chalī hai gardish-e-ayyām tak
ban ga.e shaiḳh-o-barahman mālik-e-dair-o-haram
faiz-e-mai-ḳhāna magar jaarī hai ḳhās-o-ām tak
saañs lenā to nahīñ koī dalīl-e-zindagī
zindagī kaisī nahīñ ab zindagī kā naam tak
husn kī pahlī nazar hī dil kī duniyā kho ga.ī
luT ga.e āġhāz meñ dekhā nahīñ anjām tak
ab to saaqī azmat-e-mai-ḳhāna tere haath hai
gardish-e-ayyām aa pahuñchī hai daur-e-jām tak
mai-kada kā haal kuchh ho chashm-e-sāqī kuchh kahe
hai surāhī tak nazar 'ārif' kisī kī jaam tak
Top Urdushayar.com