Mohammad Usmaan Arif

phulon ki chand taron ki mahfil fareb hai

Mohammad Usmaan Arif

Bikaner, Rajasthan, India

1923
phūloñ kī chāñd tāroñ kī mahfil fareb hai
rañgīñ haqīqatoñ meñ bhī shāmil fareb hai
paanī ke madd-o-jazr ko samjhā hai zindagī
maujeñ bhī haiñ fareb jo sāhil fareb hai
rañgīni-e-hayāt kā aalam na pūchhiye
har aarzū fareb hai har dil fareb hai
mahsūs dil meñ dard sā hone lagā hai kyuuñ
kyā pyaar kī nazar meñ bhī shāmil fareb hai
bas ruk gayā to ruk gayā ulfat kī raah meñ
manzil na kar qubūl ki manzil fareb hai
un kī nigāh-e-lutf hai 'ārif' kī zindagī
kyā ġham agar hayāt meñ shāmil fareb hai
Top Urdushayar.com