Mohammad Usmaan Arif

dekha tha kis nazar se tumne hansi hansi mein

Mohammad Usmaan Arif

Bikaner, Rajasthan, India

1923
dekhā thā kis nazar se tum ne hañsī hañsī meñ
ik dard-e-mustaqil hai ab merī zindagī meñ
ka.aba bhī but-kada bhī hai rāh-e-bandagī meñ
ye manzileñ haiñ kaisī dushvār āshiqī meñ
ai dost yaad un kī ab tak rulā rahī hai
do din jo mil ga.e the hañsne ko zindagī meñ
ik baat par hamārī uljhan meñ paḌ ga.e tum
duniyā na jaane kyā kyā kartī hai dostī meñ
jab hosh meñ rahā maiñ chhupte rahe vo mujh se
parde haTā diye sab dekhā jo be-ḳhudī meñ
ai merī shām-e-furqat yuuñ dil nahīñ bahaltā
kuchh aur raushnī kar tāroñ kī raushnī meñ
manzil pe mujh ko lā kar dāman jhaTak rahe ho
yaad aa.egā mujhe ye ehsān zindagī meñ
daur-e-ḳhizāñ se ab to bahlā rahā huuñ dil ko
kāñToñ meñ phañs gayā huuñ phūloñ kī dostī meñ
tū un ke sāmne ho vo tere sāmne hoñ
aisā bhī ek sajda 'ārif' ho be-ḳhudī meñ
Top Urdushayar.com