baaqī hai vahī shoḳhi-e-guftār abhī tak
dīvāne pahuñchte haiñ sar-e-dār abhī tak
sar par hai bahāroñ ke mire ḳhuun kā sahrā
ālūda lahū se haiñ gul o ḳhaar abhī tak
āzādi-e-kāmil ke tasavvur meñ hai insāñ
apne hī ḳhayāloñ meñ giraftār abhī tak
gaate haiñ uḳhuvvat ke tarāne to shab o roz
barbādi-e-ālam ko haiñ tayyār abhī tak
begāna bane laakh mohabbat se zamāna
hai jins-e-garāñ-māya tirā pyaar abhī tak
hotī hai ḳhayāloñ hī meñ tanzīm chaman kī
kirdār hī badle haiñ na guftār abhī tak
ma.asūm hai ma.asūm bahut amn kī devī
qabze meñ liye ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhār abhī tak
'ārif' ye zamāna to badalnā hī paḌegā
uTTho bhī hai is kī vahī raftār abhī tak