Mahtab Haider Naqvi

usi dard-ashna dil ki taraf-dari mein rahte hain

Mahtab Haider Naqvi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1955
usī dard-āshnā dil kī taraf-dārī meñ rahte haiñ
ham apne-āp meñ gum apnī ġham-ḳhvārī meñ rahte haiñ
yūñhī ham rafta rafta dil-girafta hote jā.eñge
ki ham apne ġhamoñ kī nāz-bardārī meñ rahte haiñ
ye duniyā ham ne duniyā-dār kī āñkhoñ se dekhī hai
magar ai dil ham apnī hī amal-dārī meñ rahte haiñ
hamāre sukh bahut kam aur dukh un se bahut kam haiñ
so ham bhī aaj kal un kī nigah-dārī meñ rahte haiñ
abhī ahl-e-havas duniyā meñ kyā kyā gul khilā.enge
abhī ahl-e-junūñ ḳhvāb-e-jahāñ-dārī meñ rahte haiñ
Top Urdushayar.com