Mohammad Usmaan Arif

ye mohabbat ka sila tha ishq ka anjam tha

Mohammad Usmaan Arif

Bikaner, Rajasthan, India

1923
ye mohabbat kā sila thā ishq kā anjām thā
phuul kā hañsnā hī us kī maut kā paiġhām thā
ġham na dete aap to rāhat se kis ko kaam thā
zindagī kī gardishoñ ke saath daur-e-jām thā
Thokareñ khāte ga.e lab par tumhārā naam thā
hashr kā manzar thā rāh-e-ishq meñ jo gaam thā
aap kyuuñ aañsū bahā.eñ mere hāl-e-zār par
ishq kā niklā vahī anjām jo anjām thā
ban gayā har saañs qātil rañj hai to bas yahī
zindagī ne maar Daalā maut par ilzām thā
thā tumhāre sāmne be-kaif rañg-e-gulistāñ
dīda-e-nargis to kahne ko chhalaktā jaam thā
dekhne vaale kaheñge merī barbādī kā haal
āshiyāna jal rahā thā maiñ asīr-e-dām thā
girya-e-shabnam se aatī hai guloñ meñ tāzgī
merā ronā bhī kisī ke aish kā paiġhām thā
barq ke kyā haath aayā kyā milā sayyād ko
chaar tinkoñ ke na rahne se chaman badnām thā
jalne vaalā hī samajh saktā hai dil kī aag ko
hijr meñ 'ārif' mirā hamdam charāġh-e-shām thā
Top Urdushayar.com