Mohammad Usmaan Arif

kanTon pe chal raha hun mohabbat ki rah mein

Mohammad Usmaan Arif

Bikaner, Rajasthan, India

1923
kāñToñ pe chal rahā huuñ mohabbat kī raah meñ
kis husn kī bahār hai merī nigāh meñ
duniyā gunāhgār hai terī nigāh meñ
zāhid hai terā zo.am bhī dāḳhil gunāh meñ
zarroñ meñ kyā nahīñ hai jo hai mehr-o-māh meñ
pastī nigāh meñ hai bulandī nigāh meñ
dīvāngān-e-ishq ko duniyā kī kyā ḳhabar
duniyā ko chhoḌ aa.e kahīñ gard-e-rāh meñ
har manzil-e-hayāt se guzrā chalā gayā
har marhale pe aap the merī nigāh meñ
kaunain meñ samā.e na 'ārif' vo husn jab
kis kā hai zarf rakh sake us ko nigāh meñ
Top Urdushayar.com