Mohammad Usmaan Arif

husn ki jitni baDhin ranaiyan

Mohammad Usmaan Arif

Bikaner, Rajasthan, India

1923
husn kī jitnī baḌhīñ ra.anā.iyāñ
ishq ke sar ho ga.iiñ rusvā.iyāñ
us nigāh-e-nāz kā aalam na pūchh
chhū ga.ī jo qalb kī gahrā.iyāñ
vo harīm-e-nāz meñ bechain haiñ
yaad aatī haiñ mirī tanhā.iyāñ
un hasīñ ā.ankhoñ meñ aañsū aa ga.e
aah mere ishq kī rusvā.iyāñ
mahfil-e-duniyā ko Thukrā duuñ magar
jalva-farmā haiñ tirī ra.anā.iyāñ
husn ke dāman pe dhabba aa gayā
duur jā pahuñcheñ mirī rusvā.iyāñ
mere qadmoñ meñ hai aish-e-jāvedāñ
tere ġham kī haiñ karam-farmā.iyāñ
ishq kī fitrat hai 'ārif' bebasī
chal nahīñ saktīñ tirī ḳhud-ārā.iyāñ
Top Urdushayar.com