Mohammad Usmaan Arif

kamal-e-ishq mein soz-e-nihan baqi nahin rahta

Mohammad Usmaan Arif

Bikaner, Rajasthan, India

1923
kamāl-e-ishq meñ soz-e-nihāñ baaqī nahīñ rahtā
bhaḌak jaate haiñ jab sho.ale dhuāñ baaqī nahīñ rahtā
jabīñ to phir jabīñ hai āstāñ baaqī nahīñ rahtā
jahāñ tum ho kisī kā bhī nishāñ baaqī nahīñ rahtā
tumheñ dekhūñ to kyā dekhūñ tumheñ samjhūñ ko kyā samjhūñ
mohabbat meñ to apnā bhī gumāñ baaqī nahīñ rahtā
unhīñ se pūchhiye ye un ke dil par kyā guzartī hai
bahāroñ meñ bhī jin kā āshiyāñ baaqī nahīñ rahtā
kabhī yaad un kī aa.ī hai kabhī vo ḳhud bhī aate haiñ
mohabbat meñ hijāb-e-darmiyāñ baaqī nahīñ rahtā
mohabbat raas aatī hai to chhā jaatī hai duniyā par
bigaḌtī hai to phir nām-o-nishāñ baaqī nahīñ rahtā
ḳhizāñ meñ lāla-o-gul kā bharam bhī khul hī jaatā hai
hamesha to fareb-e-gulistāñ baaqī nahīñ rahtā
usī manzil meñ aate haiñ kahīñ dair-o-haram 'ārif'
harīm-e-dil se bach kar āstāñ baaqī nahīñ rahtā
Top Urdushayar.com