rah ga.ī vo nigāh-e-nāz qalb o jigar meñ baiTh kar
dil meñ latīf sī ḳhalish aañkh hai āñ.suoñ se tar
raat kī niiñd uḌ ga.ī din kā sukūn luT gayā
terī nigāh-e-nāz ne kar diyā dil pe kyā asar
sun na sake usī ko vo kah na sakā usī ko maiñ
aish kī dāstāñ meñ jo haal thā ġham kā muḳhtasar
shāḳh se gul jo gir paḌā dil se lagā ke rakh liyā
daur-e-ḳhizāñ bhī dekh luuñ phuul chune haiñ umr bhar
koī agar nihāl hai koī ḳharāb-hāl hai
zarf ke saath saath hai un kī nigāh kā asar
rañg-e-chaman ko dekh kar 'ārif'-e-ḳhasta-dil ye kyā
phūloñ pe hai kabhī nazar kāñToñ pe hai kabhī nazar