zindagī kyā hai vafā kyā hai aqīdat kyā hai
ham batāte haiñ ḳhudāoñ kī haqīqat kyā hai
maiñ ne pūchhā hai sitāroñ se siyah rātoñ meñ
kaun hai kū-e-gunah rāh-e-tarīqat kyā hai
maiñ ne hālāt kī har aag meñ jal kar jaanā
rāhat-e-qalb hai kyā aur musībat kyā hai
Tok detā hai bhale koī ġhalat ho ki sahī
nāsehā ye to batā farz-e-nasīhat kyā hai
chāñd sūraj ko sitāroñ ko parakhne vaalo
tum ko ma.alūm bhī hai chashm-e-basīrat kyā hai
kitne anjān haiñ insān samajh baiThe haiñ
ḳhūbsūrat ho bashar phir to ye sīrat kyā hai
kis qadar duur 'harī' kesh chale aa.e ho
qadr thī des meñ pardes meñ qīmat kyā hai