zindagī ab rahe ḳhatā kab tak
jurm kī bārhā sazā kab tak
nāḳhudā huuñ maiñ apnī kashtī kā
ye ḳhudāoñ kā silsila kab tak
apnī pathrā ga.ī haiñ āñkheñ bhī
husn parda uThā.egā kab tak
kaun pakḌegā bhāgte saa.e
kaun dekhegā rāsta kab tak
ġhāliban aur shāhrāheñ haiñ
ek hī band rāsta kab tak
aadmī aadmī kā dushman hai
jaane ho mehrbāñ ḳhudā kab tak
be-sabab phir rahe haiñ muddat se
kījiye vaqt kā gilā kab tak
kaam apnā 'harī' parastish hai
be-asar phir rahe duā kab tak