Hari Mehta

gham-zada zindagi rahi na rahi

Hari Mehta

ġham-zada zindagī rahī na rahī
ḳhush rahe ham ḳhushī rahī na rahī
zindagī kī hasīn rāhoñ meñ
chhāñv ThanDī kabhī rahī na rahī
chāñd-tāroñ meñ zindagī kaaTī
aap ko yaad bhī rahī na rahī
rāh-e-mastī meñ vo charāġh mile
jal ga.e raushnī rahī na rahī
jab koī raah par lagā hī nahīñ
rahbarī rahbarī rahī na rahī
rah ga.ī baat aap kī chaliye
merī vaq.at rahī rahī na rahī
de ke ummīd pūchhte haiñ mujhe
dil meñ hasrat koī rahī na rahī
umr guzrī gunāh-gārī meñ
fikr anjām kī rahī na rahī
apne markaz pe aa gayā huuñ 'harī'
ġham nahīñ zindagī rahī na rahī
Top Urdushayar.com