use bhulā.e hue mujh ko ik zamāna huā
ki ab tamām mire dard kā fasāna huā
huā badan mirā dushman adū huī mirī ruuh
maiñ kis ke daam meñ aayā havas-nishāna huā
yahī charāġh jo raushan hai bujh bhī saktā thā
bhalā huā ki havāoñ kā sāmnā na huā
ki jis kī sub.h mahaktī thī shaam raushan thī
sunā hai vo dar-e-daulat ġharīb-ḳhāna huā
vo log ḳhush haiñ ki vābasta-e-zamāna haiñ
maiñ mutma.in huuñ ki dar us kā mujh pe vā na huā