hai ta.ajjub aaj tak bhī ishq kyoñ rusvā nahīñ
dard be-āvāz sā hai ġham kā bhī saaya nahīñ
jo huā anjām dīvāne kā vo hotā nahīñ
vo samajh jaatā magar kuchh ham ne samjhāyā nahīñ
mere kamre kī bhī dīvāroñ se ye pūchhe koī
koī kyā jaane ki maiñ kyoñ raat bhar soyā nahīñ
maiñ kahīñ jā.ūñ mere ham-rah us kī yaad hai
tum mujhe tanhā samajhte ho to maiñ tanhā nahīñ
ho sake to aap rakhiye apne aiboñ par nazar
dūsroñ kī ḳhāmiyoñ par tabsira achchhā nahīñ
kis qadar badla hai mujh ko vaqt ne hālāt ne
aa.ina hai sāmne lekin merā chehra nahīñ
duur tak miltā nahīñ hai us meñ āshiq kā vajūd
ishq aisī dhuup hai jis meñ koī saaya nahīñ
shām-e-ġham so jā.ūñ tujh ko saath le kar sub.h tak
apne va.ade par use aanā thā vo aayā nahīñ
be-ḳhabar be-samt hī apnā rahā hai ye safar
jā rahe haiñ ham kidhar ḳhud ko bhī batlāyā nahīñ
is qadar begānagī ḳhud se rahī hai umr bhar
apne hāl-e-zār par 'arpit' kabhī sochā nahīñ