baare ġham-e-firāq uThātā rahā huuñ maiñ
sham.a jalā jalā ke bujhātā rahā huuñ maiñ
sāre-jahāñ ko dil se bhulātā rahā huuñ maiñ
bas yaad terī dil meñ basātā rahā huuñ maiñ
dīvār-o-dar ke dil ke nazar ke ḳhayāl ke
har aa.ine se ḳhud ko chhupātā rahā huuñ maiñ
nazreñ uThā ke dekh bhī le ik nazar mujhe
ai dost terī bazm meñ aatā rahā huuñ maiñ
baḌhtā rahe shabāb ye har roz har ghaḌī
ā.īna ban ke tujh ko sajātā rahā huuñ maiñ
is shahr-e-be-vafā meñ jafāoñ ke ba.ad bhī
'arpit' vafā ke phuul khilātā rahā huuñ maiñ