ab dil bujhā bujhā hai mujhe maar dījiye
jiine meñ kyā rakhā hai mujhe maar dījiye
dil ke maraz kā ab nahīñ duniyā meñ kuchh ilaaj
ye ishq-e-lā-davā hai mujhe maar dījiye
maiñ be-gunāh huuñ to yahī hai mirī sazā
ye faisla huā hai mujhe maar dījiye
Dartā huuñ aa.ine ko lagāne se haath maiñ
kahtā ye ā.īna hai mujhe maar dījiye
maiñ huuñ vafā-shi.ār yahāñ jī ke kyā karūñ
ye daur-e-bevafā hai mujhe maar dījiye
vallāh be-nashsha na rahī merī koī shaam
ukhḌā huā nasha hai mujhe maar dījiye
ai jān-e-dil-bahār terī be-ruḳhī ke baad
ab mere paas kyā hai mujhe maar dījiye
tanhā.iyoñ kī qaid se ghabrā ke ek shaḳhs
āvāz de rahā hai mujhe maar dījiye
ek baat josh josh meñ sach kah gayā huuñ maiñ
tum ko burā lagā hai mujhe maar dījiye
tanhā.ī merī us se bhī dekhī nahīñ ga.ī
us ne bhī ye kahā hai mujhe maar dījiye
rashk-e-chaman banā hai ye 'arpit' mirā vajūd
ḳhushbū ko chhū liyā hai mujhe maar dījiye