mirī zaat kā hayūlā tirī zaat kī ikaa.ī
koī ham-safar hai merā ki hai terī ḳhud-numā.ī
maiñ huuñ pur-sukūñ azal se maiñ huuñ pur-sukūñ abad tak
magar aañkh kah rahī hai nahīñ tujh se āshnā.ī
maiñ to luT chukā zamāne! mire paas kyā rahā hai
mire hoñT sil chuke haiñ maiñ bhalā duuñ kyā duhā.ī
ye farār kā hai lamha ki qarār kī hai sūrat
tirī chāñd sī jabīñ par nahīñ dāġh-e-bevafā.ī
yahī umr bhar kā dukh hai yahī zindagī kā sukh hai
na koī fareb-e-hastī na shu.ūr-e-dil-rubā.ī
maiñ to kal bhī thā safar meñ maiñ huuñ aaj bhī safar meñ
vahī daur merī manzil vahī merī jag-hañsā.ī
maiñ 'zuhair' sochtā huuñ kabhī zaḳhm nochtā huuñ
jaane kab nasīb jaage mile fikr se rihā.ī