Zuhair Kanjahi

baada-kash hun na parsa hun main

Zuhair Kanjahi

Gujrat, Punjab, Pakistan

1933
bāda-kash huuñ na pārsā huuñ maiñ
koī samjhā.e mujh ko kyā huuñ maiñ
raat bikhre hue sitāroñ ko
din kī bāteñ sunā rahā huuñ maiñ
mere dil meñ haiñ ġham zamāne ke
saarī duniyā kā mājrā huuñ maiñ
sher achchhe bure hoñ mere haiñ
zehn se apne sochtā huuñ maiñ
koī manzil nahīñ mirī manzil
kis dorāhe pe aa gayā huuñ maiñ
yuuñ girā huuñ ki uTh nahīñ saktā
shāyad apnā hī naqsh-e-pā huuñ maiñ
un kā afsāna kahte kahte 'zuhair'
apnī rūdād kah gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com