shām-e-ġham yaad nahīñ sub.h-e-tarab yaad nahīñ
zindagī guzrī hai kis tarah ye ab yaad nahīñ
yaad hai utnā ki maiñ Duub gayā pastī meñ
kitnī ūñchī huī dīvār-e-adab yaad nahīñ
maiñ ne taḳhlīq kiye sher-o-suḳhan ke motī
merī taḳhlīq kā thā kaun sabab yaad nahīñ
jin ke jalvoñ se thā ābād jahān-e-dil-o-jāñ
merī nazroñ se nihāñ ho ga.e kab yaad nahīñ
aañkh meñ ashk haiñ ashkoñ meñ ġhamoñ kī talḳhī
kaise hote haiñ vo naġhmāt-e-tarab yaad nahīñ
itnā hī yaad hai muddat se ḳhafā haiñ vo 'zuhair'
un kī ḳhafagī kā magar koī sabab yaad nahīñ