Zuhair Kanjahi

dil mein rakkha tha sharar-e-gham ko aansu jaan ke

Zuhair Kanjahi

Gujrat, Punjab, Pakistan

1933
dil meñ rakkhā thā sharār-e-ġham ko aañsū jaan ke
haañ magar dekhe ajab andāz is tūfān ke
apnī majbūrī ke ā.īne meñ pahchānā tujhe
yuuñ to kitne hī vasīle the tirī pahchān ke
zaḳhm ḳhūñ-ālūd haiñ aañsū dhuāñ dete hue
ye suhāne se namūne haiñ tire ehsān ke
dard-o-ġham ke tapte sahrā kī kaḌaktī dhuup meñ
so gayā huuñ maiñ tirī yādoñ kī chādar taan ke
dekhiye kab tak haqīqat tak rasā.ī ho 'zuhair'
chāñd tāroñ tak to jā pahuñche qadam insān ke
Top Urdushayar.com